RBI Consumer Awareness Program 2023 - Home Credit India

RBI Ki Fraud Ke Khilaf Ladai Mein Shaamil Hon: Bareilly Aur Pilibhit Mein Consumer Jagrukta Karyakram 

RBI Consumer Awareness Program

Bharatiya upbhokta ke roop mein, aapke paas fraaud ke khilaf ladne ke bohot se adhikar hote hain aur Reserve Bank of India unhe surakshit rakhne ke liye ek RBI Consumer Awareness Program shuru kar raha hai. Kanpur ke RBI Ombudsman Office aapko jagrukta ke madhyam se shakti pradaan karna chahta hai.  

Bareilly aur Pilibhit mein ek Consumer Jagrukta Karyakram aayojit kara jaa raha hain, jisme complaint redressal ka process aur fraud se bachne ke baare me zaruri tips saajha ki jayengi. bataya jayega.   

Aap bhi is program mein aakar apne mushkil se kamaye hue paise ki suraksha ke tarike jaan sakte hain. Hum apne Home Credit parivaar ko is RBI Consumer Awareness program me aane ke liye invite karte hain aur aapko bhi fraud ke khilaaf is ladai me shaamil karte hain.  

Consumer Awareness Program Ki Details 

RBI Kanpur Ombudsman Office ek Consumer Awareness Programme (CAP) aayojit kar raha hai, jiske madhyam se complaint redressal ka process aur fraud se bachne ke surakshit tareekon ke baare mein jagrukta failayi jayegi.  

Ye events Bareilly mein 01 June, 2023 ko aur Pilibhit mein 02 June, 2023 ko 2:30 baje se 5 baje tak aayojit kiya jayega. 

Yeh hum sab ke liye ek important event hai jahan hum fraud se apne aap ko kaise bachayein, ye sikh sakte hain. Is event mein aapko kayi zaruri jaankari uplabdh karayi jayegi jaise: 

  • Fraud jaise phishing, vishing, SMS fraud, debit/credit card fraud, aadi se bachne ke liye aap kya savdhaniyan apna sakte hain, uske baare mein RBI madadgar salaah aur tips saajha karegi.  
  • Ek vyaparik seva upbhokta ke taur par aapke adhikar aur zimmedariyaan kya hain, iski jaankari bhi aapko is event me di jayegi.  

Consumer awareness program ka aim hai RBI ke upbhokta suraksha framework ko majboot banana aur transparency badhana. Isme shamil ho kar aap apne paise ki suraksha ke liye zaroori gyaan prapt kar payenge.  

In events ke registration ke liye aapko koi shulk nahi dena padega aur ye sabhi ke liye muft hai. Toh agar aap Bareilly ya Pilibhit mein rehte hain ya najdik hain, toh aap apne calendar ko block kar lijiye aur is programme ko zaroor attend kijiye. Hum sabhi ek sath milkar hi fraud ke khilaaf is ladayi mein jeet sakte hain aur apne aur apne janne walon ko isse surakhsit rakh sakte hain.  

Aapko RBI Consumer Awareness Program Mein Kyun Shamil Hona Chahiye? 

  • Apne Aap Ko Fraud Surakshit Karne Ka Tarika Sikhein 

Fraud karne ke tareeke har din advanced hote jaa rahe hain jiske wajah se wo aapke paise ya vyaktigat jaankari churane ke liye nayi taknikon ka istemal kar rahe hain. Is Upbhokta Jagrukta Karyakram mein shamil hokar, aap naye aur advanced tips sikhenge jinse aap apne aap ko aur apne paiso ko in khatron se surakshit rakh payenge.  

  • Sawal Poochhein aur Jawab Paayein

Is tarah ke events mein shamil hona aapko aapke samuday ke logon se jodne ka mauka deta hai jo aapke chintaon ko saajha karte hain. Mil kar hum in pareshaniyon ko lekar jagrukta badha sakte hain, jankari baant sakte hain, aur ek doosre ka saath de sakte hain.   

Fraud ke khilaf ladai ek teamwork ka prayaas hai aur is karyakram mein shamil hone waale har vyakti scams ko pehchaanne mein behtar taiyyar hoga, jankari dost aur pariwar ke saath bantega, aur samuday ko pure taur par surakshit banane mein sahayata kar payega.  

RBI Ombudsman office ne is karyakram ka aayojan kiya hai taki woh nagrikon ko saksham banane mein sahayata kar sake aur aapko dhokhadhadi karne wale logon se aage nikalne ke liye sahaj upaay aur gyaan pradan kar sake.  

Conclusion 

Yeh aapka mauka hai apne mehnat se kamaye hue paise ko churane ki koshish karne wale fraudsters se bachne ka. Agar aap Bareilly ya Pilibhit mein rehte hain, to is jagrukta karyakram mein zarur shaamil ho jaiye, apne sawal poochiye, aur fraud se ladne ke naye tips seekhkar Fraud ko rokne ke liye taiyar ho jaiye.  

Avail Personal Loan Approval in 5 mins!